शनिवार, 2 मार्च 2013

Toh ??



Toh ??..

Tere Jazbon Kee Gahraaiyaan Naapte Hum Doob Jaayein toh ??

Teri Soch Ke Motiyon Ko Piro Ek Tasbeeh Banaaye toh ??

Tere Honthon Pe Muskaan Ban Kar Thahar Jaayein toh ??

Tere Haathon Kee Lakeeron Mein Ban Ke Qismat Chhip Jaayein toh ??

Tere Aangan Kee Tulsi Ka Diya Ban Jagmagaayein toh ??

Khushi Ka Aansu Ban Teri Palkon Par Utar Aayein toh ??

Teri Raahon Ke Kaantein Chun Apni Palkein Bichhayein toh ??

Tujh Ko Tujhi Se Chheen Kar Apna Banaayein toh ??

Tere Dil Ke Sadaf Ka Gauhar Ban Jaayein toh ??

Toh !!

Phir Tum Mai Aur Mai Tum Ban Jaaoge..
Fir
Tu "Tu" Na Rahegi Aur Mai "Mai " Na Rahunga ..

..

सोमवार, 21 जनवरी 2013

Ek Gauraiya Se Khaamosh Baatcheet ..

.
Aaj Bahot Arsa Baad Ek Gauraiya (Sparrow) Se Kuchh Deir Tak Khaamosh Rah Kar Dher Saari Baatein Kari ..

Usne Mujhe Bhool Jaane Ka Taana Diya..
Maine Uss Se Kamaane Khaane Ka Bahaana Kiya..

Usne Kaha Mai Bhi Toh Uss Khuda Ki Makhlook Hu..
Mil Hi Jaata Hai Daana Chugne Ko Jab Bhookh Ho..
Kyu Hawas Hai Jama Kar Lu Duniya Ke Laal-o-Gauhar..
Kya Khud Par Aitmaad Nahi Ya Bharosa Nahi Khuda Par..

Uss Chhoti Si Chidiya Ne Aaj Mujhe Bada Sharminda Kar Diya..
Apni Masoom Si Baaton Se Mujhe Sochne Par Majboor Kar Diya..

Aitmaad Pakka Hai Khud Par Aur Khuda Par Bharosa Pakka Hai Toota Nahi..
Kaash Mai Usko Samjha Paata Ki Behtar Hai Tu Chidiya Hai Insaan Nahi ..

..